Back to photostream

I wish you read this poem...

Aankh khul gaye meri

ho gaya main phir zindaa

Pait k andhairon se

zehan k dhundalkon tak

Aik saanmp k jaisa

Reengta khayal aya

Aaj teesra din hai...Aaj teesra din hai

Ik ajeeb khamoshi

Munjamid hai kamray main

Aik farsh aur ik chat

aur chaar deewarain

Mujh say be ta'aluq sub

sub meray tamashayee

samnay ki khirki say

tez dhoop ki kirnain

aa rahe hain bistar per

chubh rahe hain chahray main

is qadar naukeeli hain

jaisay rishtay daron k

TANZ meri ghurbat per

Aankh khul gayee meri

aaj khokhla hoon main

Sirf khaul baqi hai

Aaj meray bistar main

laita hai mera dhancha

Apni murda aankhon se

daikhta hai kamray ko

Aaj teesra din hai...Aaj teesra din hai

Dopehar ki garmi main

be irada qadamon say

Ik sarak per chalta hoon

Tang si sarak per hain

dono samt dukanain

Khali khali ankhon say

har dukaan ka takhta

sirf daikh sakta hoon

Ab parha nahin jata

Log atay jatay hain

pas say guzartay hain

Phir bhi kitnay dhundlay hain

Sub hain jaisay be chahra

Shor in dukaanon ka

Raah chalti ik gaali

Radio ki awazain

Dur ki sadayen hain

Aa rahe hain meelon say

Jo bhi sun raha hoon main

Jo bhi daikhta hoon main

Khawab jaisa lagta hai

Hai bhi aur nahin bhi hai

Dopehar ki garmi main

Be irada qadamon say

Ik sarak pay chalta hoon

Samnay k nukar per

Nal dikhaye daita hai

Sakht kyun hai yeh paani?

Kyun galay main phansta hai?

Meray pait main jaisay

Ghonsa aik lagta hai

Aa raha hai chakar sa

Jism per paseena hai

Ab sakat nahin baaqi

Aaj teesra din hai....Aaj teesra din hai

Har taraf andhaira hai

Ghaat per akaila hoon

Seerhiyan hain pathar ki

seerhyon per laita hoon

Ab main uth nahin sakta

Asmaan ko takta hoon

Aasmaan ki thaali main

Chaand aik roti hai

Jhuk rahe hain ab palkain

doobta hai yeh manzar

hai zameen gardish main

Meray ghar main choolha tha

Roz khana pakta tha

Rotiyaan sunehri hain

Garm garm yeh khana

Khul nahin rahe ankhain

Kya main marnay wala hoon?

Maa ajeeb thi meri

Roz apnay hathon say

mujhko woh khilati the

Kaun sard hathon say

Choo raha hai chahray ko

IK NIWALA HATHI KA

IK NIWALA GHORAY KA

IK NIWALA BHALOO KA

Maut hai k behoshi

Jo bhi hai ghaneemat hai

Aaj teesra din tha....Aaj teesra din tha

-unknown

8,022 views
7 faves
15 comments
Uploaded on November 21, 2008
Taken on October 2, 2008