Back to photostream

zinda rehega paighame hussain bine ali islam sada zinda painda rahega paighame hussain ibne ali

zinda rehega paighame hussain bine ali

islam sada zinda painda rahega

paighame hussain ibne ali

 

mit jayega har naksh har ek sheh ko fana hai

lekin shahe mardan ki qasam haq ko baqa hai

shabbir ne khanjar ke talay waada liya hai

islam sada zinda painda rahega

paighame hussain....

 

ahmed ke nawase ka haqeeqat may karam hai

islam salamat hai hifazat may haram hai

shabbir to insan ki azmat ka bharam hai

hai azmat ka ye taara yuhin raqshinda rahega

paighame hussain....

 

ye soch le hai waqt abhi khoob samajh le

shabbir ko azmat ki kasauti pe parakh le

ye baat haqeeqat hai isay zehn may rakhle

haq ubhrega baatil sada sharminda rahega

paighame hussain....

 

har saal muharram may manate hai yehi gham

karte hai yuhin sayyede abrar ka matam

hum ahle aza taur badalte nahi har dam

jo kal tha wohi aaj hai aainda rahega

paighame hussain....

 

shabbir ka matam na rukega na ruka hai

wallaha ye masooma e aalam ki dua hai

is gham ke mukaabil may jo gham laaya gaya hai

baatil hai wo mit jayega haq zinda rahega

paighame hussain....

 

phir khel rahe hai wo wohi khel purana

iblaagh ki quwwat se haqeeqat ka dabana

ye sach hai ke jhooton ka jahannum hai thikana

sharminda sada zulm ka karinda rahega

paighame hussain....

 

sach sach hai zamane may fasana hai fasana

aasan nahi haq ki ye awaaz dabana

aalam mai hai mumtaz muhammad ka gharana

ye kaaba abad haq ka numaainda rahega

paighame hussain....

 

aaeene ke surat se har ek chehra ayan hai

zar kiska hai saudagar emaan kahan hai

kuch dushman ye aal ki had ahle jahan hai

kab tak ye dilon may tay sare hinda rahega

paighame hussain....

 

shabbir ne wallah bada kaam kiya hai

islam pe jo teer chala dil pe liya hai

khoone ragay gardan se isay ghusl diya hai

islam ka chehra yuhin tabinda rahega

paighame hussain....

 

 

www.nohayonline.com/PaighameHussain.html

937 views
1 fave
0 comments
Uploaded on January 10, 2013
Taken on January 5, 2013