kya poochte ho abide khasta jigar ka haal
Nohaqan: Tableeq e Imamia (Nazim Hussain)
kya poochte ho abide khasta jigar ka haal
gham se kabhi bukhaar ki eeza se thay nidhaal
abbas o aur qasim o akbar ka tha malaal
yaad aa rahe thay aun o mohamed se naunehaal
ashoor ka tha din to qayamat ki raat thi
namoose mustufa ki hifazat ki raat thi
kya poochte ho....
jab zaalimo ne aag lagayi qayam may
quwwat nahi thi utne ki paaye imam may
dena tha imtehan bhi ek raahe shaam may
ek daagh aur bad gaya maahe tamam may
qaimo may aaj se thi jo zainab ko bekali
sajjad uth khade hue kehkar ke ya ali
kya poochte ho....
qaima jala to khaak ke upar basar hui
mushkil tha aaj subho ka hona magar hui
har baat zaalimo se jo eebay asar hui
abid ko jab aseeri ki apni khabar hui
kehne lage ke jaata hoo baba salam lo
haq may mere zaroor duaon se kaam lo
kya poochte ho....
tar karbala ko aapne kis sabr se kiya
mere liye hai koofe se ta shaam faasla
kuch kam nahi hai waise to mera bhi hausla
namoose mustufa ka hai dar pesh marhala
jaayengi nange sar phupi darbar e shaam may
dekhunga mai ye taab kahan hai ghulam may
kya poochte ho....
itne may qaid karne ko aa pahunche ashkiyan
kehne lage phupi se ye bemaar e karbala
balon se moo chupa lo jo sar par nahi rida
manzil kathin hai aaj ki behtar kare khuda
mushkil may ya ali madadi kehna baar baar
bachon se aur bali se hoshiyaar
kya poochte ho....
abid ki natawani pe hairaan thay layeen
manzil ko tar karega ye aata na tha yaqeen
ye itna ghamzada hai ke mar jayega kahin
iske sabaat o himmat o jurrat pe aafreen
ye azm hai ke khafila salaar ban gaya
aisa chala ke waqt ki raftaar ban gaya
kya poochte ho....
yun karbala se ujda hua khafila chala
jaise kisi ka khafila salaar mar gaya
oonto se girte jaate thay bache bhi jan bajan
aayi sar e hussain se besaaqta sada
kis haal may ho bachi pe meri nazar nahi
zainab sakina gir gayi tumko khabar nahi