Back to photostream

Zainab Ne Kaha Bhai

Zainab ne kaha bhai

Zainab ne kaha bhai

yeh kaisi heh ladaie

In faujiyon mein

na yahudi ya esaiee

yeh toh nana ke ummat hai

enhe hamse kya ruswaee

bhai ne kaha behna

yeh hai bayt ki ladaee

yeh hai bayt ki ladaee

yazidiyat ne haq aur iman

par ki hai chadaee

sar katakar

islam ko bachana

isi mein he rehaee

jalti hue dhoop

karbala ki ret

namaz ki chatai

zuljana ki ankhen

tapakte hue khoon

ke aansu..

sitamgar se ladaeee

jalte hue khemein

nana ki pyari nawasi

aur pyare nawase

ki karbala mein judaee

Zainab ne kaha bhai

Zainab ne kaha bhai

abbas ke hathon par

rida bhi tik na payee

maskhe sakina se

furaat ki pyas jo bhujaee

sham sham sham

chaute Imam

ki tadap jo bediyon

main samaee

Zainab ne kaha bhai

Zainab ne kaha bhai

 

Dedicated to my grandfather Late Daroga Nabban Saab of Pata Nala from the family of Mir Anis.

 

#shiapoetry

 

#shiasm

#beggarpoet

#bibizainab

2,522 views
1 fave
1 comment
Uploaded on June 20, 2007