Back to photostream

Aray lash uthaye ga kon, Shere jawaan mar gaya Aray qabr banaye ga kon, Shere jawaan mar gaya

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

Kartay thay ro ro ke ya hazrat bayan

toar gaye meri qamar bhayi jaan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

Roti hay khayme me Sakina wahan

Sote ho Abbas zamin par yahaan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

1) Aray lash uthaye ga kon, Shere jawaan mar gaya

Aray qabr banaye ga kon, Shere jawaan mar gaya

Aray humko sambhale ga kon,Shere jawasn mar gaya

Toro na gurbat me meri aas utho

Utho Husain aaye hain Abbas utho

Rota he mazlum basad yas utho

Utho bas ab ghar me chalo bhayi jaan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

2) Aray kon khabare le meri, Shere jawan mar gaya

Haey meri bekasi, Shere jawan mar gaya

Chalti hay dil par churi, Shere jawan mar gaya

Kya huwa sawwaye Sakina ko aa

Kisne kiya mere bhara gar tabah

Kya huwi abbas biradar ki chaah

Ab gaye wo pyaar ki baate kaha

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

3) Aray mar gaya Akbar pisar, Shere jawan mar gaya

Thaam lo meri qamar, Shere jawan mar gaya

Aray lut gaya bekas ka ghar, Shere jawan mar gaya

Quwate bazu mera kya ho gaya

Zeenate pehlu mera kya ho gaya

Aashiqe dil yu mera kya hogaya

Kya huwa afsos mera qadr daan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

4) Aray jhume khayme me wa, Shere jawan mar gaya

Karti hay Zainab fugaa, Shere jawan mar gaya

Aray kis say karoon may bayan, Shere jawan mar gaya

Hath se khoya dile gamkhwar ko

Paoon kahaan apnay alamdar ko

Geri huwi khanjar-e khu khar ko

Jalad gale par ho mere ab rawaa

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

5) Aray ab koi chara nahi, Shere jawan mar gaya

Aray zeest gawara nahi, Shere jawan mar gaya

Aray koi hamara nahi, Shere jawan mar gaya

Maa hai bani hasheme wala nahi

Usme mere mehru ka ujala nahi

Haaye mere chahane wala nahi

Nazro me tarikh ha sara jahan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

6) Aray lash uthayenga kon, Shere jawaan mar gaya

Aray kabre banayanga kon, Shere jawan mar gaya

Aray humko sambhalenga kon, Shere jawan mar gaya

Toro na gurbat me meri aas ko

Utho Husain aaye ha abbas utho

Rota he mazlum basat yas utho

Utho basat gar me chalo bhayijaan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

7) Aray ankho ka tara mera, Shere jawan mar gaya

Aray chand ka tukra mera, Shere jawan mar gaya

Are gar ka ujala mera, Ruhe ali jaan-e nabi alvida

Ashiko shaidai akhi alvida

Laasha-e abbase ali alvida

Aate hain ab ham bhi chalo bhayijaan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

Kartay thay roro ke ya hazrat bayan

toar gaye meri qamar bhayi jaan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

Roti hay khayme me Sakina wahan

Sote ho Abbas zamin par yahaan

Aa Alamdar haey alamdar (x3)

 

1,650 views
0 faves
1 comment
Uploaded on November 11, 2014
Taken on November 4, 2014