Back to photostream

Tere Saamnay Abhi Aasmaan Aur Bhi Hain

Sitaaro se aage jahaa.N aur bhii hain

abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hain

 

Taahi zindagii se nahin ye fazaayen

yahaan saikaron kaaravaa aur bhi hain

 

kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par

chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi hain

 

agar kho gaya ek nasheman to kyaa Gam

maqaamaat-e-aah-o-fugaan aur bhi hain

 

tuu shaheen hai parwaaz hai kaam teraa

tere saamane aasmaan aur bhi hain

 

isii roz-o-shab me ulajh kar na rah jaa

Kay tere zamiin-o-makaan aur bhi hain

 

Gae din ki tarhaa tha mai anjuman me

yahaan ab mere raazadaan aur bhi hain

 

 

850 views
1 fave
16 comments
Uploaded on December 4, 2009
Taken on July 10, 2008