Back to photostream

Phir mere shehr se guzra hai woh badal ki tarha...

Phir mere shehar se guzra hai woh baadal ki tarha

Dast-e-gul phaila hua hai kisi aanchal ki tarha

 

Keh raha hai kisi mausam ki kahaani ab tak

Jism barsaat main bheegay huay jungle ki tarha

 

Mil k uss shakhs se mein laakh khamoshi se chalun

Bol uth'ti hai zubaa'n paa'on ki paayal ki tarha

 

Paas jab tak woh rahay dard thama rehta hai

Phailta jata hai phir aankh k kaajal ki tarha

 

Ab kisi tor pe ghar janay ki soorat he nahi

Raastay mere liay ho gaye hain dal-dal ki tarha

 

Phir mere shehar se guzra hai Woh ........

 

_____Parveen Shakir

 

The shot was taken in Lahore ,Pakistan back in February this year,while a walk after sunrise in Mayo Gardens near my house.

1,856 views
4 faves
20 comments
Uploaded on June 24, 2010
Taken on January 17, 1970