Back to photostream

Tu hai sooraj tujhay maa'loom kahan raat ka dukh,tu kisi roz mere ghar mein utar shaam k baad

if u wish to view big farm4.static.flickr.com/3313/4575991804_c903ef1a11_o.jpg

 

 

currently on playlist : www.youtube.com/watch?v=OxbsBwEVm-U [flow with the rythm ]

 

 

Tu ne daikha hai kabhi aik nazar shaam k baad

Kitnay chup chaap se lagtay hain shajar shaam k baad

 

Itnay chup chaap k rastay bhi rahain gay laa-ilm

Chor jyen gay kisi roz nagar shaam k baad

 

Main ne aisay he gunah teri judai me kiay

Jaisay toofa'n mein koi chorr de ghar shaam k baad

 

Shaam se pehle woh mast apni uraano'n main raha

Jiskay haathon mein thay tootay huay par shaam k baad

 

Raat beeti tu ginay aablay aur phir socha

kaun tha baais-e-aaghaaz-e-safar shaam k baad

 

Tu hai sooraj tujhay maaloom kahan raat ka dukh

Tu kisi roz mere ghar mein utar sham k baad

 

Laut aye na kisi roz woh aawara mizaaj

khol rakhtay hain isi aas pe dar shaam k baad

 

____Farhat Abbas Shah

747 views
5 faves
39 comments
Uploaded on May 3, 2010
Taken in May 2010