Environmentalist
Original Nathiagali , Pakistan, height above sea level 8500 feet
Aata hai yaad mujh ko guzra hua zamana
Wo baagh ki baharein, wo sab ka chai chahana
Aazaadian kahan wo ab apne ghonsle ki Apni khushi se aana apni khushi se jaana
Lagti hai chot dil par aata hai yaad jis dam
Shabnam ke aaansooaon par kalyaon ka muskuraana
Wo pyari pyari surat wo kaamni si murat
Aabaad jis ke dam se tha mera aashiyaana
Aati nahi aawaazein uski mere pinjre me Hoti meri rehaayee kaash mere bas me
Kya badnaseeb hoon mai ghar ko taras raha hoon
Saathi to hai watan me mai khaid me pada hoon
Aayee bahar, kalyan phoolaon ke hans rahi hai Mai is andhere ghar me kismat ko ro raha hoon
Is khaid ka Elaahi dukhda kis ko sunaaoon Darr hai ke yehi pinjre me gham se na mar jaaoon
Jab se chaman choota ye haal ho gaya hai
Dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai
Gaana is ko samajh kar khush ho na sunne waale
Dhukhe huye dil ki faryaad ye saada hai
Azaad mujh ko karde o khaid karne waale Mai be zubaan hoon khaidi, tu chod kar du'a le
Iqbal Lahori