Koi chup ke chup ke kehta hai
Koi geet likho meri aankhon per
Koi shair kaho mere lafzon per
Inn khushbu jaisi baton per
Chupchap main sunta rehta hoon
Phir un jheel si aaankhon per
Ik taaza ghasal likh deta hoon
Un phool jaisi baton per
Yeh GEET, GHAZAL, yeh SHAIR mere
Sab uske pyaar ka darpan hain
Sab uske roop ka darshan hain
Sab uski aankhon ka kajal hain